Aditya Ranjan Sir Biography Hindi me

Aditya Ranjan Sir India ke mashoor mathematician teacher or income tax officer hai, iske sath sath wo ek YouTuber, motivational speaker or content creator bhi hai. Aditya sir ek famous youtuber hai jo students ko equational content provide krwate hai. Inke youtube channel Aditya Ranjan Talks par 2.53M subscribers hai. Aditya sir students ko SSC, CGL, CPO or Government exam ke liye maths ki teaching karwate hai.

Ye bhut se crash course or paid course conduct krwane ke sath free course bhi YouTube par provide krwate hai. Aditya sir aam logo ke liye ek icon bhi hai. Aditya sir ek or youtube channel Rankers Gurukul par bhi maths ki classes provide karwate hai. Inke instagram account par 824K followers hai, jispar yeh motivational or study related post dalte hai. Aaj ke is lekh me hum baat krne Wale hai Aditya Ranjan Sir ke family, education, career or unse jude kuch tathyon kr bare me.

Aditya Ranjan Sir ki Birth, family or education

Aditya Ranjan Sir ka janam 24 March, 1995 ko hua tha, yeh 29 varshiya hai. Yeh Bihar, Uttar Pradesh ke rahne wale hai. Aditya sir ke alawa unke pariwar me unke pita hai joki ek kisan hai, unki maa house wife hai or sir ka ek chhota bhai bhi hai. Baat Aditya sir ke shadi ki jaye to aapko bta de ki yeh abhi tak avivahit hai. Aditya sir ne apni 12th tak ki padai local high school Uttar Pradesh se ki, uske baad 2014 me wo graduation karne ke liye delhi aa gye.

Graduation ke sath sath unhone apne future ko dekhte huaye SSC ki teyari bhi shuru kr di thi. Unhone 2018 me CHSL ka pehla exam diya tha.SSC ki teyari karte karte inhone 3 bar government exam pass kiya.

Aditya Ranjan Sir ke looks

Aditya Sir 2024 ke anusar 29 saal ke hai yeh dikhne me bhut mature or sundr hai. Inki hight 5 feet 7 inch hai or inka wajan 72 kilograms ke aas ps hai. Aditya sir ke balon ka rang kala or aankho ka rang bhi kala hai. Inki skin ka colour badami bhura hai.

Aditya Ranjan Sir ka Career

Aditya sir school time se hi Maths me bhut achhe the. 2014 me college ke time se hee bacho ko maths ki tuition classes deke apna career shuru kiya, sath me apni SSC ki padai bhi karte the. Aditya sir ne 2017 me apni college ki padai puri karke puri tarah se SSC ki teyari me lag gye or July 2017 me apne youtube channel Rankers Gurukul par students ko maths ki classes dene lage or kuch paid courses bhi provide karne lage. Isi journey ke chalte 2019 me unhone phali bar CHSL ka exam pass kiya jisme unhone Maths me 50/50 marks, English me 50/50 marks or Reasoning me bhi 50/50 marks score kiya jisme unki All India Rank 114 aayi. Usi saal 2019 me unhone SSC CGL ka bhi exam clear kiya jisme unhone 644/700 marks score kiya isi ke sath unhe Excise Inspector ki post ke liye choose kiya gya tabhi se Aditya sir sarkari karmchari (Income Tax Inspector) ke roop me desh ki sewa kr rhe hai.

Aditya sir YouTube Channel

Aditya sir India ke mashhoor mathematician teacher or income tax officer hai, jo apne YouTube videos ke karn social media par bhut famous hai. Aditya sir pahli bar July 2017 me YouTube channel Rankers Gurukul par videos banane lage jisme wo students ko Maths padate, motivational videos banate or government exam ke bare me students ko guide karte. Is channel par sir ke 2.79M subscribers hai. Iske baad Aditya sir ne June, 2022 me ek or YouTube channel suru kiya “Aditya Ranjan Talks” isme wo motivational, study tips or government exams ke liye strategy provide krwate hai. Aaj is channel par 2.53M subscribers hai or din pertidin bhut grow ho rha hai. YouTube par students ko classes dekr aaj wo ek famous Mathematician ban chuke hai.

Aditya Ranjan Sir ki Net worth

Aditya sir ki net worth 2023 ke anusar $400K se bhi adhik hai. Inke pas luxurious cars Mahindra Thar or Scorpio hai.

Aditya Ranjan Sir ke kuch rochak tathya

Aditya sir ek famous Mathematician or Income Tax Inspector hai.

Inhone 3 bar SSC ke exam pass kiye hai, 2018 me CGL, 2019 me CHSL jisme inhone Maths, English, Reasoning me 50/50 marks score kiye or 2019 me CGL bhi clear kiya jisme 644/700 marks score kiye.

Inhone apne jivan me Poster lgana, riksha chlane jesa bhi kam kiya hai.

Log inhe apna icon mante hai or inski story se bhut inspire hote hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top